Zindagi lambi hai, phir bhi kyun yeh itni choti lagti hai.
Kitna kuch karna hai lekin samay kam lagta hai,
phir kabhi kyun yeh zindagi itni lambi lagti hai.
Humesha se laga kuch jaldi hai ek maksad pura karne ki,
aur bas phir jaldi se yahan se rukhsati pane ki.
Kuch khwaishein reh na jayein adhoori jab samay aaye yahan se vidai ka,
phir laga na hai koi khawaish apni iss zamane se.
Chand ghadiyaan hain bas ek imaandar, nidar aur khush zindagi guzar jaaye,
bas yahin kaafi hai.
Yeh zindagi kabhi poori, kabhi adhoori si kyun lagti hai…